Suna ho ga bohat tum ne,
kahin ankhoon ki rim jhim ka,
kahin palkon ki shabnam ka,
parha ho ga bohat tum ne,
kahen lehjay ki barish ka,
kahin sagar kay ansoo ka,
magar tum ne kabhe humdum,
kahin daikhay?
kahin parhy?
kisi tehreer ki ansoo?
mujhy tairi judai ne,
yehi mairaj bakhshi hai,
k main jo lafz likhta hoon,
wo sarey lafz rotay hain,
k main jo harf bunta hoon,
wo sarey bain karty hain,
merey sung iss judai main ,
merey alfaz marty hain.