Bohat muddat kay baad kal jab,
Kitab-e-maazi ko main ne khola,
bohat se chehre nazar me utre,
bohot say naamon pe dil paseeja,
Ik aisa safha bhi uss main aya,
likha howa tha jo aansuun se,
keh jiss ka unwan "Hmsafar" tha,
yeh safha sab se hi motbar tha,
kuch aur anso phir uss pe tapke,
phir uss say aage main parh na paya,
kitab-e-maazi ko band kar kay,
ussi ki yadoon main khoo gaya main,
agar woh milta to kaisa hoata,
inhi khayalon mainn so gaya main.