Mujh say pehli si muhabbat mairy mehboob
Mujh say pehli si muhabbat mairy mehboob na mang
main nay samjha tha keh tu hai to drakhshan hai hayat
taira gham hai to gham i dahr ka jhagra kia hai
tairi soarat say hai aalam main baharoon ko sabat
tairi ankhoon kay siwa duniya main rakha kia hai ?
to jo mil jay to taqdir nigoon ho jay
youn na tha, main nay faqt chaha tha youn ho jay
aur bhe dukh hain zamany main muhabbat kay siwa
rahtin aur bhe hain visal ki rahat kay siwa
un ginat sadion kay tarik bahimana tilisam
raishm o atlas o kamkhawab main banway howay
ja baja biktay howay kocha o bazar main jisam
khak main luthry howay khoon main nehlatay howay
loat jati hai idhar ko bhe nazar kia kijiay
ab bhee dil kash hai tira husan, magar kia kijay
aur bhee dukh hain zamany main muhabbat kay siwa
rahtin aur bhee hain visal ki rahat kay siwa
mujh say pehli muhabbat mairay mehbboob na mang