Suna hai loag ussay ankh bhar kay daikhty hain
so uss k shehar main kuch din thehr k daikthy hain
suna hai rabt hai uss ko kharab hallon se
so apnay ap ko barbad kar k daikhty hain
suna hai dard ki gahak hai chashm e naaz uss ki
so hum bhe uss ki ghali se guzar k daikty hain.
suna hai uss ko bhee hai shiro o shairi se shagaf
so hum mi b moajzy apny hunar k daikhty hain
suna hai bolay to batoon se phool jarty hain
yeh baat hai to chlao baat kar k daitkhy hain
suna hai raat ussay chand takta rehta hai
sitare baam e falak say uttar k daikhty hain.
suna hai din ko usse titlian satati hai
suna hai raat ko jguno thehr k diakty hain
suna hai hashr hai uss ki ghazal si ankhin
suna hai uss ko haran dasht bhar k daikhty hain
suna hai raat say bhar kar hain palkin uss ki
suna hai sham ko so saya guzar k daikty hain
suna hai uss ki siah chashmagi qayamat hai
so uss ko surma farosh aah bhar k daikhte hain
ruky to gardishin uss ka tawaf karti hain
chale to uss ko zamany thehr k daikty hain
kahanian hi sahi, sab mubalghy hi sahi
agar woh khawab hai, tabeer kar k daikhty hain
ab uss kay shehar main thehrin k koooch kar jain
Faraz! ao sitare safar k daikthy hain.