Zamany say suna tha k mohabbat har jati hai
jo chahat ik tarfa hoo woh chahat har jati hai
Kahin par duaa ka ik lafz bhe asar kar jata hai
kahin barsoon ki ibadat har jati hai
mohabbat kab kissi ko dushmani ka dars deti hai
mohabbat ki baazi main adawat har jati hai
hamin kitnay bhe shikway hon uski jafaon k
par uss kay samny har ek shikayat har jati hai
ek arzoo si hai k uss ko bhool jain hum.
par uss ki yaad aty hi ye hasrat har jati hai