Yehi wafa ka sila hai to koi bat nahi
ye dard tum nay dia hai to koi baat nahi
itna bohat hai keh tum daiktay ho sahil say
safina doob raha hai to koi baat nahi
kiss ki majal jo mujh ko deewana kehy
agar yeh tum ny kaha hai to koi baat nahi
yeh mairay bass main kaha k tujh ko bhol sakun
to mujh ko bhol jai to koi baat nahi