Wafa ruswa nahi karna,
Suno! aisa nahi karna,
main pehlay hi akela hon,
mujhy tanha nahi karna,
meri in jheel ankhoon ko,
kabhi sehra nahi karna,
Judai bhe jo aa jaye,
to dil chota nahi karna,
bahut masroof ho jana,
mujhay socha nahi karna,
bharosa bhi zaroori hai,
magar sab ka nahi karna,
muqaddar phir muqaddar hai,
koi dawa nahi karna,
meri takmil tum say ha,
mujhy aadha nahi karna,
jo likha hai wohe ho ga,
kabhi shikwa nahi karna.