Mohabbat kay safar main koi rasta nahin daita,
zamin waqif nahin banti, falak saya nahin daita,
khooshi aur dukh kay moasam sab kay apnay apnay hoatay hain,
kissi ko apnay hissay ka lamha nahin daita,
udasi jiss kay dil main hoo ussi ki neend urti hai,
kissi ko apni ankhoon say koi sapna nahin daita.