Bikhar rahi hai meri zaat usy kehna
kabhi milay to yehi baat usy kehna
woh sath tha to zamana hamsafar mera
magr ab koi nahi mery saath ussy kehna
ussy kehna keh bin usky din nahin katta
sisik sisik kay katti hai raat ussy kehna
usy pookaroon keh khood hi poohanch jaoon ussky pass
nahi rahay woh halat usy kehna
agr woh phir bhee na loty to ay mehrban qasid
hamari zeest kay halat usy kehna
har jeet uss kay naam kar raha hoon main
main manta hoon apni haar ussay kehna