Sakoon bhe khawab how, needn bhee hai kam kam phir
qarib anay laga doorioan ka moasam phir
bana rahi hai tiri yad mujh ko salk i gughar
pro gai miri palkoon main aj shabnam phir
woh naram lehjay main kuch keh raha hai phir mujh say
chura hai payar kay komal sooron main madham phir
tujhay manon keh apni ana ki baat sunon
ulajh raha hai miri faisloon ka raisham phir
na uss ki baat main samjhon na woh miri nazrain
muamlat i zuban hoo chalay hain mubham phir
yeah nay wala na dukh bhee uss kay sar hi gia
chatakh gia miri angushtari ka neelam phir
woh aik lamha keh jab saray rang aik howay
kisi bahar nay daikha na aisa sangam phir
behan aziz hain ankhain miri ussay lakon
woh jatay jatay unhain kar gia hai pur nam phir
(Parvin shakir)