Kabhee kabhee dil yeah chahta hai
tumhari shamoon ka hall poochon
sawal poochon
keh fikar i farda main kasi guzri
younhi kabhee maira naam aya tumhary honton pa aik pal ko
miri muhabbat ki yaad mehki kabhee tumhary bhee rastoon main
kabhee kisssi din tumhari subah kay dar pe jagi sada i dastak
kabhee ibadat ki kafiat main tumhain maira bhee guman guzra
tumharay sihan i duaa say maira bhee dhian guzra
kabhee tumharay badan peh bhee shab i azab ban kar thehar gai thee
kabhee kabhee dil yeah chahta hai, sawal poochoon
magar main chup hoon
hamary mabain yeh jo deewar i ajnabiat hai yeah ghanimat hai
issi main toaqair i harf o lab hai
yehin peh tark o talab ki had hai