tairay firaq kay lamhay shumar kartay howay
bikhar chalay hain taira intizar kartay howay
bikhar chalay hain taira intizar kartay howay
to main bhee khoosh hoon koi uss say ja kay keh daina
agar woh khosh hai mujhay bay qarar kartay howay
agar woh khosh hai mujhay bay qarar kartay howay
tumhain khabar hi naheen hai keh koi toot gia
muhabbaton ko bohat paidar kartay howay
muhabbaton ko bohat paidar kartay howay
main muskarata howa ainay main ubroon ga
woh ro paray gi achank singhar kartay howay
woh ro paray gi achank singhar kartay howay
mujhay khabar thee keh ab loat kar na aoon ga
so tujh ko yaad kia dil peh war kartay howay
so tujh ko yaad kia dil peh war kartay howay
oh keh rahi thee sumander naheen ankhain hain
main un main doob gia itbar kartay howay
main un main doob gia itbar kartay howay
bhanwar jo mujh main paray hain woh main hi janta hoon
tumharay hijar kay darya main par kartay howay
tumharay hijar kay darya main par kartay howay