khooshbu ka jhoonka lahraya, har qaria shadab howa
woh jab ghar say bahir aya, sara shehar gulab howa
baidari si baidari hai ab ankhoon main neend kahan
jiss kay khawab kabhee daikhay thay ab woh chehra khawab howa
uss nay maira naam likha tha khood hi apnay naam kay saath
wabasta thein jiss say yadain ab woh shajar nayab howa
main nay to askhoon main uss ka dard chupana chaha tha
aur bhee ziada chamka jab yeah shoala zeer i aab howa
ab main din ki roashni main bhee uss ko dhoondta phirta hoon
woh chehra jo bistr i shab par tamsail mahtab howa
kaisi batin kartay hoo tum, chooro aisi batoon ko
yaar tabassum uss say milna deewanay ka khawab howa