Na kissi ki ankh ka noor hoon na kissi kay dil ka qarar hoon
jo kissi kay kaam na a sakay main woh ek musht i ghubar hoon
mera rang roop bigar gia, mera yaar mujh say bichar gia
jo chaman khazan say ujar gia main uss ki fasl e bahar hoon
pay fateha koi aya kayon, koi char phool charhay kayon
koi a kay shama jalay kayon main woh bay kasi ka mazar hoon
main naheen hoon naghma janfaza mujhay sun kay koi karay ga kia
main baray broag ki sada hoon, main baray dukhi ki pukaar hoon
kabhee ban sanwar kay jo a gay to bahar husan dikha gay
mairay dil ko dagh laga gay, yeah nia shagoofa khila gay
koi kayon kissi ka lubhay dil, koi kia kissi say lagay dil
woh jo baichtay dawa i dil woh apni dukan barha gay
mairay pass atay thay dam badam woh juda na hotay thay aik dam
yeah dikhaya charkh kia sitam keh mujhi say ankhian chura gay
jo milatay thay mairay monh say monh, kabhee lab say lab kabhe dil say dil
jo gharoro tha woh unhain yeah tha woh sab hi gharooron ko dha gay
bandhay kayon na ansoon ki jhari keh yeah hasrat unkay galay main pari
woh jo kaklain theen bari bari woh unhi kay baich main a gay