bhalay dinoo ki bat hai
bhali se aik shakl thi
na ye k husn tam ho
na dekhne main aam se
na yeh ke woh chale to kehkushan se rah guzar lage
magar wo saath ho to phir bhala bhala safar lagay
koi bhi rut ho us ki chub
safa ka rungorupe thi
wo garmeoo ki chaoon the
wo sardeoo ki dhoop the
na esi khushlibasian ke sadgee gila kare
na itni betakalufi k aina haya kare
na ikhtalat main wo rum k badmaza hoon khwahisheen
na is kadar supardagi ke zach karein nawazishein
so aik roz kya hoa wafa pe bahas chir gaye
mein ishq ko amar kahon woh meri zid se chir gaye
mein ishq ka aseir tha woh ishq ko qafas kahe
ke umar bhar ke sath ko badtar-az-hawas kahe
shajar-e-hijar nahein ke hum hamesh pa-bae-gill rahein
na dhor hein ke rassian gale me mustaqil rahein
me koi painting nahein ke aik hi frame mein rahon
wohi jo man ka meet ho usi ke prem mein rahon
tumhari soach jo bhi ho mein is soach ki nahein
mujhe wafa se bair hae yeh bat aaj ki nahein
na us ko mujh pe man tha na mujh ko us pe zom tha
jo ehad hi koi na ho to kya gham-e-shikastagi
so apna apna rasta hansi khushi badal diya
woh apni rah chal pari mein apni rah chal para
bhale si aik shakal thi
bhale si us ki dosti
ab us ki yad rat din
nahein magar kabhi kabhi