Tujh par likhna shoro kahan se karoon
ada say karoon ya wafa se karoon
to itna khoobsorat hai ae jaan e jana
mumkin hi nhn tairi tareef zuban say karoon
————————————————————————-
Uss shaks say faqat itna sa talluq hai "Faraz"
woh preshan hoo to hamin neend nahn aati…..
————————————————————————–
Bohat ajeeb hain yeh bandisin muhabbat ki…
na uss nay qaid main rakha…
na hum farar huey….!!!!
————————————————————————–
Tum talluq toarny ka kahin zikar na kerna Ehsaan.
main logon say keh doon ga k ussay fursat nhn milti
————————————————————————–
Choti choti baaton pe taqrar na kia karoo,
hamary har mazaq ko dil pe mat liya karoo
kaya pata saath hai or kitne din ka
in paloo ko hans kay jiya karoo
————————————————————————–
Zooq-janoon ko had se guzar jane do
woh samitnay aya ga humin bikhar jany doo
abhe dastars main hooon to ehsas nhn ussko
ro ro kay paukary ga humin mar jany do
—————————————————————————
Manzil door aur safar bohat hai,
chote say dil main aapki fikar bohat hai,
maar deti kab ki ye duniya humey
magar aap ki duaoon main asar bohat hai……!
————————————————————————–
mana hum halat se majboor rehty hain,
phir bhe tairay khayalon main choor rehty hain,,
Ankhoon main rehti hain tasveer tumhari,
kia hua jo hum tum say door rehty hain
————————————————————————-
Yeh aur baat hai keh teri bandagi nahi hoti,
lekin tujhy bhool kar basar zindagi nahi hoti
yeh keh doo her ek fard-e-shahar ko
kissi ko chahty rehna awargi nhn hoti…
—————————————————————————
tham tham kay barsa kar, abhi itna na rootha kar
abhe to door hai manzil, abhe khud ko na tanha kar
teri ankhin samundar hain, samandar ko sehra na kar
————————————————————————-
Muhabbat kar sakty ho to RAB say kar FARAZ…..
Matti kay khiloonon kabhe Wafa nahi milti
————————————————————————-
Kash woh samjhty es dil ki tarap ko
to youn na hamin ruswa kea hota
unki bay rukhi bhi manzoor the hamin
bus ik baar hamin samajh to liya hota
—————————————————————————
Dour ja kar b un se dour ja na sake
kitnay roye kissi ko bata na saky
dard ye nahn keh wo humin mil na sake
dard yeh hai k hum unhen bhula na sake.
————————————————————————-